Tawakkal

Hazrat Habeeb Ajmi (Rehmatullahi Alaihi) Ka Makan Basre Ke Chaurahe Per Tha Aur Eak Din Aap Ne Kapde Nikal Kar Chaurahe Per Rakh Diye Aur Khud Kahi Nahane Ke Liye Chale Gaye, Ittefaq Se Hazrat Hasan Basri (Rehmatullahi Alaihi) Ka Is Taraf Se Guzar Hua To Aap Ne Inka Libas Shinaqt Kar Ke Khayal Kiya Ke Ye To Habeeb Ajmi Kahi Chod Kar Chale Gaye Hai.

Agar Koi Utha Kar Chal De To Kya Hoga Aur Is Khayal Ke Tahat Aap Kapdao Ki Hifazat Ke Liye Waha Thahre Rahe Aur Jab Habeeb Ajmi Wapis Aaye To Hazrat Hasan Basri Se Pucha Ke Aap Yaha Kyun Thahre Hai, Inho Ne Farmaya Ke Tum Apna Libas Kis Ke Bharose Per Chod Kar Chal Diye Agar Koi Utha Le Jata To Kiya Hota?

Inho Ne Kaha Ke Isi Ke Bharose Se Chod Kar Gaya Tha Jis Ne Hifazat Ke Liye Aap Ko Yaha Tak Pahuncha Diya.

(Tazkiratul Awliya Safa 36)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *