•» HADEES «•
Imam Bukhari Aur Imam Muslim Ne Sahiyeen Me Hazrat Anas (Radiallahu Anhu) Se Riwayat Karte Hai Ke Hazrat Haris Gazwah-e-Badr Me Shaheed Hue, Inhe Kisi Na-Maloom Shaks Ka Teer Laga Tha Jis Se In Ki Wafaat Hui.
In Ki Maa Bargah-e-Risalat Me Hazir Ho Kar Arz Pardaz Hui – Ya Rasool’Allah Mujhe Bataiye Ke Mera Beta Haris Kaha Hai Agar Wo Jannat Me Hai To Phir Main Sabr Karungi Agar Nahi To Phir Main Jee Bhar Kar Is Per Noh’e Karungi. Abhi Tak Mayyat Per Noh’e Karna Mamnu Nahi Hua Tha.
Rehmat-e-Kaynaat Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Farmaya – “Tera Bhala Ho – Eak Jannat Nahi Hai 8 Jannate Hai Aur Tere Bete Ko Firdous-e-Aala Me Jageh Ata Farmai Gai Hai”
Nigah-e-Mustafa Ki Khuwat Binai Ka Andaza Lagayein – Pal Bhar Me Aatho Jannatao Ka Jayza Le Kar Bata Diya Ke Is Budhi Khatoon Ka Shaheed Beta Kaha Tashreef Farma Hai.
(Seerat Al’Rasool Zia’An Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam, Jild 3, Safa 339)