Qur’an-e-Kareem Sarapa Akhlaaq-e-Nabawi Hai

•» QUR’AN-E-KAREEM SARAPA AKHLAAQ-E-NABAWI HAI «•
**************************************************

Saad Bin Hisham (Radiallahu Anhu) Kehte Hai May Ne Um’Almomineen Sayyedah Ayesha (Radiallahu Anha) Se Arz Kiya – Amma Jaan Mujhe Rasool’Allah Sallallahu’Alahi’Wa’Sallam Se Akhlaq Ke Bare Me Batayye.

Farmane Lagein : Kiya Tum Ne Qur’an Padha Hai, May Ne Arz Kiya Haan, Aap Ne Farmaya – Tamaam Qur’an Paak Sallallahu’Alaihi’Wa’Sallam Ke Akhlaq Ka Bayan Hai.

(Al’Mustadrak Jild 2, Safa 541)

Yaani Jo Shaks Chahta hai Wo Ye Dekhe Allah Tala Ke Habeeb Sallallahu’Alaihi’Wa’Sallam Ki Seerat Wa’Kirdaar Kiya Tha To Wo Qur’an Ka Mutalle Kare Jo Kuch Qur’an Ne Bayan Kiya’ Is Ka Sarapa Basurat Insaani Huzoor Ki Zaat-e-Aqdas Hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *