Masael 1: Kisi Ibadat Ko Is Ke Muqarar Waqt Per Ada Karne Ko “Ada” Kehte Hai – Aur Waqt Guzar Jane Ke Baad Amal Karne Ko “Qaza” Kehte Hai.
Masael 2: Farz Namazao Ki Qaza Farz Hai – Witar Ki Qaza Wajib Hai –
Fajar Ki Sunnat Agar Farz Ke Sath Qaza Hui Aur Zawal Se Pehle Padhe – To farz Ke Sath Sunnat Bhi Padhe – Aur Agar Zawal Ke Baad Padhe To Sunnat Ki Qaza Nahi.
Jumah Aur Zohar Ki Sunnate Qaza Ho Gayi, Aur Farz Padh Liya – Agar Waqt Khatam Ho Gaya To In Sunnatao Ki Qaza Nahi Aur Agar Waqt Bakhi Hai To In Sunnatao Ko Padhe – Aur Afzal Ye Hai Ke Pehle Farz Ke Baad Wali Sunnatao Ko Padhe Phir In chuti Hui Sunnatao Ko Padhe.
(Durre Mukhtar, Jild 1, Safa 488, Jannati Zewar 212)