Eak Din Hazrat Umar Radiallahu Anhu Masjid-e-Nabawi Me Tashreef Laye To Inho Ne Huzoor Sallallahu’Alaihi’Wa’Sallam Ke Mazar-e-Aqdas Ke Paas Hazrat Muaad Bin Jabal Ko Rote Hue Dekha.
Aap Ne Farmaya Muaad Kyun Ro Rahe Ho? Kehne Lage Mujhe Aap Sallallahu’Alaihi’Wa’Sallam Ke Is Farmaan Ne Rula Diya Hai Jo May Ne Aap Sallallahu’Alaihi’Wa’Sallam Se Suna Tha.
“Mamuli Riyakaari Bhi Shirk Hai”
(Al’Mustadarak Jild 1, Safa 44, Malumaat-e-Sahaba 294,295)
RIYA’KAARI:
Kuch Mardao Aur Aurtao Ki Ye Kharab Adat Hoti Hai Ke Wo Deen Ya Duniya Ka Jo Kaam Bhi Karte Hai Wo Shohrat Namodi aur Dikhawe Ke Liye Karte Hai.
Is Kharab Adat Ka Naam “Riya’Kaari” Hai,,, Aur Ye Saqt Gunah Ki Baat Hai.