•» LOGAO KE DILAO PER HUK’MARANI «•
Shaikh Umr’Al Bazaz Bayan Karte Hai Ke Eak Roze Ka Waqiya Hai Ke May Jumah Ke Din Aap (Shaikh Abdul Khader Jilani Rehmatullahi Alaihi) Ke Hamrah Namaz-e-Jumah Padne Ke Liye Ja Raha Tha Is Roz Rah Me Kisi Ne Bhi Aap Ko Salam Nahi Kiya Mujhe Khayal Guzra Ke Harr Jumah Ko Logao Ke Az’Daham Ki Wajhe Se Nihayat Mashaq’qat Aur Dushwaari Se Masjid Tak Pahunchte The Magar Aaj Aap Ko kisi Ne Bhi Salam Nahi Kiya
Mujhe Is Khayal Ka Guzarna Tha Ke Lo’gao Chaaro Taraf Se Aap Ko Salam Karne Ke Liye Daode Phir Aap Mujhe Dekh Kar Muskuraye May Ne Apne Jee Me Kaha Ke Ye Aur Bhi Betar Hai
To Aap Phir Muskuraye Aur Farmaya Ke Umr Tu Ne Yehi Chaha Tha Tumhe Ye Maloom Nahi Ke Lo’gao Ke Dil Mere Hath Me Hai, Khua Inko Apni Taraf Kheenchlu Aur Khua Apni Taraf Se Roke Rahu…… Subhan’Allah
(Shaikh Abdul Qader Jeelani Fazayel wa Karamaat ka Aw’waleen Mustand Majmua)