Kisi Ke Hashr Ka Daawaa Karne Se Parhez Kiya Karo – Hadees

Hadees:
Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah ﷺ (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
Bani Israeel Me Do Shaks They Inme Se Ek Toh Gunaahgar Tha Aur Dusra Ibadat Me Koshish Karney Wala Tha, Ibadat Ki Koshish Karne Wala Hamesha Dusre Shaksh Ko Gunaah Karta Hua Hi Dekhta Tha Aur Uss Se Kehta Tha Ki Inn Gunaaho Se Rook Ja.

Ek Roz Uss (Aabid Ne) Kisi Ko Gunaah Kartey Huye Paya Toh Uss Sey Kaha Ki Iss Se Rook Ja!
Toh Gunaahgar Ne Kaha Ki “Mujhe Mere Rab Ke Saath Chorh De, Kya Tu Mujh Par Nigahban Bana Kar Bheja Gaya Hai ? ”
Usney Kaha Ki Allah Ki Qasam Allah Ta’ala Teri Maghfirat Nahi Karenga! Ya Kaha Ki Allah Ta’ala Tujhe Jannat Me Dakhil Nahi Karenga”.
Phir Unn Dono Ki Rooh Qabz Kar Le Gayee Toh Dono Ki Roohain Allah Rabbul Aalameen Ke Samne Jamaa Huyee Toh Allah Ta’ala Ne Aabid (Ibadatguzar) Se Farmaya Ki, “Kya Tu Uss Cheez Par Qadir Hai Jo Mere Qabza-e-Qudrat Me Hai?”, Aur
Gunaahgar Se Farmaya Ki, “Ja Jannat Me Dakhil Ho Ja Meri Rahmat Ke Baadaulat”
Aur Dusre(Ibadat aur Daawaa Karnewale) Se Farmaya Ki Usey Jahannam Ki Taraf Le Jao”,

Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) Farmatey Hai Ki Qasam Hai Uss Zaat Ki Uss Aabid (Ibadatguzar) Ne Aisa Kalma Kah Diya Jisney Uski Duniya Aur Aakhirat Dono Tabah Kar Di.
– Sunan Abu Dawud, Vol3, 1469 (Sahih)

Sabaq:
Lihaza Kisi Ki Khata-O-Gunaah Par Uske Hashr Ka Daawaa Naa Kiya Karo Aur Naa Hi Uski Nadani Par Uss Par Lanat Karo, Ke Mumkin Hai Ke Allah Taala Use Touba Ki Toufiq Ata Farmaye Aur Wo Tum Se Bhi Jyada Parhezgari Me Mubtela Ho Jaye.. Sath Me Yeh Bhi Sabit Hota Hai Ke, Makhlooq Ke Jannati Aur Jahannami Hone Ka Faisla Bhi Sirf Khaliq (Allah Rabbul Aalmeen) Hee Karega.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *