Khauf e Khuda

Hazrat Malik Bin Deenar (Rehmatullahi Alaihi) Ka Bayan Hai Ke Jab Aap إياك نعبد و اياك نستعين Qiraat Karte To Muztarb Ho Kar Roone Lage Aur Farmate Ke Agar Ye Ayat Qur’an Ki Na Hoti To May Kabhi Na Padhta Kyunke Is Ka Mafhoom Ye Hai Ke “Aye Allah May Teri Ibadat Karta Hoon Aur Tujh Se Hi Madad Mangta Hoon”.

Halanke Hum Nafs Ke Aise Pujari Hai Ke Khuda Ko Chod Kar Dusrao Se Aa’anat Ke Talib Hote Hai.

(Tazkiratul Awliya Safa 26)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *