Hazrat Ali (Radi Allahu Anhu) Ke Faisle

•» HAZRAT ALI (RADIALLAHU ANHU) KE FAISLE «•
*******************************************

Hazrat Ali (Radiallahu Anhu) Apne Bare me Bayan Karte Hai Jab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam Mujhe Yemen Me Qazi Bana Kar Bhejne Lage To May Ne Arz Kiya Ya Rasool’Allah Mujhe Aap Ne Qazi Banaya Halanke May Nau’Umar Hoon Mujhe Faisle Ka Tajurba Bhi Nahi.

Aap Sallallahu’Alaihi’Wa’Sallam Ne Mer Guzarish Suni To Mere Seene (Chest) Per Aap Sallallahu’Alaihi’Wa’Sallam Ne Dast-e-Aqdas Rakha Aur Dua Di “Allah” Tala Teri Zuban Ko Sabit Rakhe Aur Tere Dil Ki Rehnumai Farmaye.

Is Ke Baad Meri Kayfiyat Ye Hai Ke Kabhi 2 Aadmiyao Ke Darmiyan Faisla Karne Me Pareshani Nahi Hui.

(Musannad Ahmed, Jild 1, Safa 220)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *