Hazrat Aadam Hazrat Musa Alaihis’salam Per Galib Rahe

•» HAZRAT AADAM HAZRAT MUSA ALAIHIS’SALAM PER GALIB RAHE «•

••HADEES•• Riwayat Hai Hazrat Abu Huraira (Radiallahu Anhu) Se Farmate Hai Farmaya Rasool’Allah Sallallahu’Alaihi’Wa’Sallam Ne Hazrat Aadam (Alaihis’Salam) Wa Musa (Alaihi’Salam) Ne Apne Rab Ke Nazdeek Munazira Kiya To Adam (Alaihis’Salam) Hazrat Musa (Alaihis’Salam) Per Ghalib Rahe,

Hazrat Musa (Alaihis’Salam) Ne Farmaya Ke Aap Wo Adaam Hai Jinhe Allah Tala Ne Apne Dast Khudrat Se Paida Kiya Aur Aap Me Apni Ruh Phunki, Aur Apne Farishtao Se Aap Ko Sajdah Karaya, Aap Ko Jannat Me Rakha, Phir Aap Ne Apni Lagzish Ki Wajhe Se Logao Ko Neche Utar Diya,

Hazrat Aadam (Alaihis’Salam) Ne Farmaya Ke Aap Hi Wo Musa Hai Jinhe Allah Ne Apni Payghambari Aur Ham’kalami Keliye Chuna Aap Ko Taqtiyaan Bakshi Jin Me Harr Cheez Ka Khula Bayan Hai, Aur Aap Ko Khususi Hum’Kalami Se Qurb Baksha Farmaiye Ke Aap Ne Meri Paydayesh Se Kitne Pehle “TAORAIT” Ko Paya Ke Rab Ne Likh Diya Tha,

Hazrat Musa (Alaihis’Salam) Ne Farmaya 40 Saal Pehle,

Hazrat Aadam (Alaihis’Salam) Ne Farmaya To Kiya Aap Ne Taorait Me Ye Bhi Dekha Ke Adam (Alaihis’Salam) Ne Apne Rab Ki Farmabardari Se Lagzish Ki To Kamyab Na Hue, “Farmaya Haan” Aap Ne Farmaya To Kya Aap Is Lagzish Per Malamat Karte Hai Jis Ka Karlena Mere Muqaddar Me Meri Paydayesh Se 40 Saal Pehle Likha Ja Chuka Tha.

Farmaya Nabi Sallallahu’Alaihi’Wa’Sallam Ne Ke Hazrat Adam Ko Musa (Alaihi’Salam) Per Ghalib Rahe.

(Riwayatul Muslim, Miratul Manaji Jild 1, Safa 96)

One Response
  1. Firozalam June 5, 2013 Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *