Hadees (Nekiyao Ka Jaari Rehna)

Riwayat Hai Hazrat Abu Huraira (Radiallahu Anhu) Se Farmate Hai Farmaya Rasool’Allah Sallallahu’Alaihi’Wa’Sallam Ne Ke Jo Aamal Wa Nekiya Momin Ko Baad Maut Bhi Pahunchti Rehti Hai In Me Se Wo –

ILm Hai Jise Sekh Gaya Aur Phaila Gaya
Aur Naek Aulad Jo Chod Gaya
Ya Qur’an Shareef Jis Wa Waris Bana Gaya
Ya Masjid Ya Musafir Khana Jo Bana Gaya
Ya Naher Jo Jari Kar Gaya Ya
Khairaat Jise Apne Maal Se Apni Tandurusti Wa Zindagi Me Nikal Gaya

Ke ye Cheezein Ise Marne Ke Baad Bhi Pahunchti Rehti Hai.

(Ibne Maja, Behqi’ Fi Shaab Al’Imaan, Miratul Manaji Jild 1, Safa 211)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *