Aulaad-e-Adam (Alaihis’salam) Se Ahad Lena – Hadees

Riwayat Hai Hazrat Ibne Abbas (Radiallahu Anhu) Se Wo Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam Se Rawi Farmate Hai Allah Tala Ne Pusht-e-Adam Se “Naemaan” Yaani Arafat Me Ahad Liya, Is Tarah Ke In Ki Pusht Se Saari Aulad Nikli – Inhe Hazrat Adam (Alaihis’Salam) Ke Samne Chuntiyao Ki Tarah Bikhair Diya.

Phir In Ke Aamne Samne Guftagu Farmai – Farmaya Kiya May Tumhara Rab Nahi Hu? Sub Bole Haa Hum Gawah Hai – Ke Kahin Qayamat Ke Din Ye Keh Do Ke Hum Is Se Gafil The – Ye Kehdo Ke Shirk To Sirf Hamare Baap Dadao Ne Kiya Hum To In Ke Baad Ki Paydayesh The – To Kiya Tum Hum Ko Jhutao Ke Jurmao Se Halak Farmata.

(Riwayah Ahmad, Miratul Manaji, Sharah Mishkaatul Masabih Jild 1, Safa 123)

Note – “Naemaan” Pahad Makke Muaz’zama Aur Taif Ke Darmiyan Se Shuru Ho Kar Arafaat Tak Pahunchta Hai, Is Pahad Per Ye Waqiye Hua.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *