•» AQIDAH «•
Hazraat Anbiya Alaihis’Salam Ke Mukhtalif Darje Hai, Allah Tala Ne Ek Ko Dusre Per Fazilath Di Hai. Sub Se Aala’Wa Afzal Hamare Huzoor Saeed Al Mursaleen Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa’Sallam, Phir Huzoor Ke Baad Sub Se Bada Martaba Hazrat Ibraheem Khaleel Allah Alaihis’Salam Ka Hai, Phir Hazrat Musa Alaihis’Salam, Phir Hazrat Esa’a Alaihis’Salam Aur Hazrat Nooh Alaihis’Salam Ka Darje Hai.
Inn Paanch (5) Hazraat Ko Mursaleen Ulool’Azma Kehte Hai Aur Ye Paanch Bakhi Tamam Anbiya Wa Mursalen Se Afzal Hai. (Qur’an Majeed)
Hazraat Anbiya Alaihis’Salam Apne Apne Khabrao Me Tamam Laozim Hayat Ke Sath Zindah Hai, Allah’Tala Ka Wada Pura Hone Ke liye Eak In Ko In Per Mout Tari Hui Phir Ba’Dastoor Sabeq Allah Tala Ne In Ko Zindagi Ata Farmadi, Khuda Ke Nabiyao Ki Hayat Shahidao Ki Hayat Se Kahi Bad Chad Kar Arfa Wa’Aala Hai.
Yehi Wajhe Hai Ke Shohadao Ka Tar’ke Taqseem Kardiya Jata Hai Hai Aur Inn Ki Biwiya Id’dat Ke Baad Dusrao Se Nikah Kar Sakti Hai, Magar Anbiya Alaihis’Salam Ka Na Tar’ke Taqseem Hota Hai Na In Ki Biwiya Id’dat Ke Baad Dusrao Se Nikah Kar Sakti Hai.
(Hayat Al Mout Wa Afa’daat Razwe Wagaira).