•» Ibleez Ka Jung-e-badr Se Bhagna «•

•» Ibleez Ka Jung-e-badr Se Bhagna «•

Mujahideen Islam Gazwa Badr Me Waqu Pazeer Hone Wale Chasm Deed Halat Bayan Karte Hai Ke – Basa Awqaat Hum Kisi Kafir Per Hamla Karne Ke Liye Aage Badhte To Hum Dekhte Ke Hamari Talwarao Ke Pahunchne Se Pehle Is Ke Sar Kat Kar Door Ja Girta.

Ibleez, Jo Saraqe Bin Malik (Kuffar-e-makkah) Ki Shakal Me Apne Gundao Ki Madad Ke Liye Masroof Paykar Tha – Is Ki Nazar Jab Malaek Ke Dastao Per Padi To Cheeq Utha.

Is Ke Awsaan Khada Ho Gaye Wahaan Se Bhagne Me Is Ne Apni Aafiyat Samjhi.

Jab Wo Apni Jaan Bacha Kar Bhaag Raha Tha Wo Kehta Ja Raha Tha.

“May Wo Dekh Raha Hoon Jo Tum Nahi Dekh Rahe – May Allah Tala Se Darta Hoon – Aur Allah Tala Ke Azaab Shadeed Se. (48–8)

(Seerat Ibne Kaseer Jild 2, Safha 433, Seerat Al’rasool Zia’an Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam, Jild 3, Safa 347)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *