•» HADEES ::: WASWASAO KA BAYAN «•
*1* Riwayat Hai Abu Huraira Se Farmate Hai Ke Huzoor Ke Sahaba Me Se Kuch Hazraat Huzoor Sallallahu’Alaihi’Wa’Sallam Ki Khidmat Me Hazir Hue Aur Aap Se Puchne Lage Ke Hum Apne Dilao Me Aise Khayal Mehsoos Karte Hai Ke Inhe Bayan Karna Bahut Bada Gunah Maloom Hota Hai,
*2* Farmaya Ke Kya Tum Ne Ye Baat Payi Hai?
*3* Arz Kiya Haan Farmaya Ye Khula Hua Emaan Hai
(Muslim, Miratul Manaji Jild 1, Safa 87, Waswasao (Bure Khayalaat) Ka Baab)
•» TAFSEER «•
*1* Ye Sahaba Ke Kamal-e-Emaan Ki Daleel Hai Ke Waswasao Per Amal Karna To Kiya Maene Ise Zubaan Per Laate Bhi Ghabrate Hai.
*2* Waswase Ya Iseh Bada Bura Samajhna.
*3* Yaani Waswase Aana Kamal-e-Emaan Ki Daleel Hai Kyunke Choor Bhare Ghar Me Hi Jata Hai Aur Shaitaan Momin Ki Fikr Me Zyadah Rehta Hai.
Hazrat Ali Murtuza Farmate Hai Ke Jo Namaz Waswasao Se Khali Ho Wo Namaz Yahood-o-Nasara Ki Hai (Mirqaat) Ya Waswasao Ko Bura Samajhna Aen-e-Emaan Hai Kyunke Kafir To Inhe Acha Samajhkar Is Per Emaan Le Aate Hai.