Shaheed Ki Fazilatein | Hadees

•» HADEES «• (SHAHEED KI FAZILATEIN)

Nabi-e-Rehmat Sallallahu’Alaihi’Wa’Sallam Ne Irshad Farmaya Shaheed Ke liye Bargah-e-Elahi Me Ye Fazilate Hai,

1. Jab Iska Khoon Ka Pehla Cheeta Zameen Per Girta Hai To Is Ke Saare Gunah Muaaf Kar Diye Jate Hai.
2. Is Waqt Jannat Me Is Ko Apni Jageh Dikha’Di Jaati Hai.
3. Ise Emaan Ka Zewar Pehna Diya Jata Hai.
4. Hurain Ke Sath Is Ka Biyah Kar Diya Jata Hai.
5. Ise Azaab-e-Qabar Se Najat De Di Jati Hai.
6. Roz-e-Qayamat Ki Badi Ghabrahat Se Ise Chutkara Mil Jata Hai.
7. Is Ke Sar Per Waqar Ka Taaj Saja Diya Jata Hai Is Taaj Ka Eak Yaqoot Duniya Wama Fayha Se Zyada Kheemti Hota Hai.
8. Is Ka Nikah Behtar Hurao Se Kar Diya Jata Hai.
9. Ise Apne 70 Khareebi Rishtedarao Ki Shafa’at Karne Ki Ijazat De Di Jati Hai.

Imam-e-Ahmed, Tirmizi Aur Ibne-e-Majah Ne Ye Hadees Mukhdam Bin Muaad Yakrab Se Riwayat Ki Hai Aur Ye Sahi Al Asnaad Hai.

(Zaad Al’Muaad Jild 3, Safa 91, Seerat Al’Rasool Zia’An Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam, Jild 3, Safa 551)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *