•» AASMANI KITABEIN «•
••» AQIDAH – Deen-e-Islam Chunke Hamesha Rehne Wala Deen Hai – Lehaza Qur’an Majeed Ki Hifazat Ki Zimmedari Allah Tala Ne Ummat Ke Supurd Nahi Farmayi – Balke Is Ki Hifazat Khud Allah Tala Ne Apne Zimme Rakhi Hai,
Chunache “Allah” Tala Ne Irshad Farmaya: “Tarjuma: Hum Ne Qur’an Utara Aur Yaqeenan Hum Khud Is Ke Nigehbaan Hai” Is Liye Qur’an Majeed Me Koi Kami Peshi Karde Ye Muhaal Hai Aur Jo Ye Kahe Ke Qur’an Majeed Me Kisi Ne Kuch Rad’do’Badal Ya Kami Zyada Kar Diya Hai – Wo Kafir Hai.
Agli Kitabein Sirf Nabiyao Hi Ko Yaad Hua Karti Thi – Lakin Ye Hamare Nabi Aur Qur’an Ka Mojiza Hai Ke Qur’an Majeed Ko Musalman Ka Bacha Bacha Yaad Kar Leta Hai.
(Jannati Zewar 128)