Qayamat

Touhid Wa Risalat Ki Tarha Qayamat Per Bhi Emaan Laana Zarooriyate Deen Mein Se Hain, Jo Shakhs Qayamat Ka Inkaar Karen Who Khola Kaafir Hain.
(المعتقد المنتقدمع المعتمد المستند،من اقر بالجنۃ والناروالحشرلکن اولھا۔۔۔الخ،ص۱۸۰)

Har Musalman Ke Liye Is Qaide Per Emaan Lana Farz E Aen Hain Ke Ek Din Yeh Zameen Wa Asman Balke Qul Aalam Aur Sara Jahan Fana Ho Jayega Isi Din Ka Naam Qayamat Hain.
(پ۲۷،الرحمن:88/ پ۲۰،القصص:62)

Qayamat Se Pehle Channd Nishaniya Zaahir Hogi , Jin Mein Se Channd Yeh Hain.

1) Duniya Mein 3 Jagah Admi Zameen Mein Dhansa Diye Jayenge. Ek Mashriq Mein Dusra Maghrib Mein, Teesra Jazira E Arab Mein.
(صحیح البخاری، کتاب الفتن واشراط الساعۃ، باب فی الآیات التی تکون قبل الساعۃ،رقم۲۹۰۱،ص۱۵۵۱)

2) Eilm Uth Jayega.
(صحیح البخاری، کتاب العلم، باب رفع العلم وظھور الجھل،رقم۸۰،ج۱،ص۴۷ )

3) Jahalat Ki Qasrat Hogi .
(صحیح البخاری، کتاب العلم، باب رفع العلم وظھور الجھل،رقم۸۰،ج۱،ص۴۷)

4) Elaaniya Zinna Kaari Baqasrat Hone Lagegi.
(صحیح المسلم، کتاب العلم، باب رفع العلم وقبضہ وظھورالجھل والفتن فی آخر الزمان، رقم۲۶۷۱،ص۳۴ )

5) Mardon Ki Tadad Kam Ho Jayegi Aur Aurte Zaida Ho Jayegi .
(صحیح البخاری، کتاب العلم، باب رفع العلم وظھور الجھل،رقم۸۱،ج۱،ص۴۷ )

6) Mulk E Arab Mein Kheti Bhaag Aur Nehere Ho Jayegi.
(صحیح مسلم ، کتاب الزکاۃ، باب الترغیب فی الصدقۃ قبل ان لایوجد من یقبلھا، رقم۱۵۷،ص۵۰۵)

7) Deen Per Qayam Rehna Itna Dushwar Hoga Jaisa Mutthi Mein Angara Lena.
(جامع ترمذی، کتاب الفتن، باب ۷۳،رقم۲۲۶۷،ج۴،ص۱۱۵)
Yaha Tak Ke Admi Qabristan Mein Jaa Kar Tamanna Karega Ke Kaash Mein Is Qabr Mein Hota.
(صحیح مسلم، کتاب الفتن واشراط الساعۃ، باب لاتقوم الساعۃ حتی یمر الرجل بقبر الرجل فیتمنی ان یکون مکان المیت من البلاء،رقم۱۵۷،ص۱۵۵۵)

8) Log Ilm E Deen Pardhenge Magar Deen Ke Liye Nahi .
(جامع الترمذی، کتاب الفتن ، باب ماجاء فی علامۃ حلول المسخ والخسف،رقم ۲۲۱۷،ج۴،ص۹۰)

9) Mard Apni Aurat Ka Farmabardaar Hoga .
(جامع الترمذی، کتاب الفتن ، باب ماجاء فی علامۃ حلول المسخ والخسف،رقم ۲۲۱۸،ج۴،ص۹۰)

10) Masjid’on Mein Log Shoor Machayenge .
(جامع الترمذی، کتاب الفتن ، باب ماجاء فی علامۃ حلول المسخ والخسف،رقم ۲۲۱۸،ج۴،ص۸۹)

11) Gaane Bajane Ka Riwaj Bahot Zaida Ho Jayega .
(جامع الترمذی، کتاب الفتن ، باب ماجاء فی علامۃ حلول المسخ والخسف،رقم ۲۲۱۸،ج۴،ص۹۰)

12) Agle Logo Per Log Lannat Karenge Aur Bura Kahenge.
(جامع الترمذی، کتاب الفتن ، باب ماجاء فی علامۃ حلول المسخ والخسف،رقم ۲۲۱۸،ج۴،ص۹۰)

13) Janwar Admiyo Se Kalam Karenge .
(جامع الترمذی، کتاب الفتن ، باب ماجاء فی کلام السباع،رقم ۲۱۸۸،ج۴،ص۷۶)

14) Zalil Log Jin Ko Tan Ka Kapda Pao Ki Jhootiya Naseeb Naa Thi Barde Barde Mahoolo Mein Fakhr Karenge .
(صحیح مسلم، کتاب الایمان،باب بیان الایمان والاسلام والاحسان ووجوب الایمان باثبات قدر اللہ عزوجل، رقم ۸،ص۲۱۔۲۲)

15) Waqt Mein Barkat Khatam Ho Jayegi. Yaha Tak Ke Saal Mahine Ki Missal Aur Mahina Ek Hafte Ki Missal Aur Ek Hafta Ek Din Ki Missal Hoga.
(شرح السنۃ، کتاب الفتن، باب الدجال لعنہ اللہ ،رقم ۴۱۵۹،ج۷،ص۴۴۲)
Algharz Allah Aur Rasool Sallalahu Alaihi Wasalam Ne Jitni Nishaniya Qayamat Ki Batlai Hain Sab Yakeenan Zahir Ho Kar Rahegi. Yaha Tak Ke Imam Mahdi Ka Zuhur Hoga.
(جامع الترمذی، کتاب الفتن، باب ۵۳ماجاء فی المھدی، رقم۲۲۳۹،ج۴،ص۹۹)
-Dajjal Niklega.
(جامع الترمذی، کتاب الفتن، باب ماجاء من این یخرج الدجال، رقم۲۲۴۴،ج۴،ص۱۰۲)

-Aur Isko Qatl Karne Ke Liye Hazrat E Essa Alaihi Salam Asmaan Se Uthrenge.
(جامع الترمذی، کتاب الفتن، باب ماجاء فی قتل عیسٰی ابن مریم الدجال، رقم۲۲۵۱،ج۴،ص۱۰۶) (جامع الترمذی، کتاب الفتن، باب ماجاء فی نزول عیسٰی ابن مریم علیہ السلام، رقم۲۲۴۰،ج۴،ص۱۰۰)
-Ya-jooj Wa Ma-jooj Jo Bahot Hi Zabardast Log Hain, Nikal Kar Tamam Zameen Per Phail Jayenge.
(صحیح مسلم، کتاب الفتن واشراط الساعۃ، باب ذکر الدجال،رقم۲۱۳۷،ص۱۵۶۹)
Aur Barde Barde Fasad Aur Barbadi Barpa Karenge Phir Khuda Ke Qahr Se Halak Ho Jayenge.
(سنن ابن ماجہ،کتاب الفتن، باب فتنۃ الدجال وخروج عیسٰی ابن مریم ۔۔۔الخ، رقم۴۰۷۹،ج۴،ص۴۰۹/صحیح مسلم ، کتاب الفتن، باب ذکر الدجال وصفتہ وما معہ، رقم ۲۱۳۷،ص۱۵۶۸)
-Maghrib Se Suraj Niklega.
(جامع الترمذی، کتاب الفتن، باب ماجاء فی طلوع الشمس من مغربھا، رقم۲۱۹۳، ج۴،ص۷۸)
-Quran Ke Huroof Urd Jayenge.
(سنن ابن ماجہ، کتاب الفتن،باب ذھاب القرآن والعلم،رقم ۴۰۴۹،ج۴،ص۳۸۴)
Yaha Tak Ke Rooh E Zameen Ke Tamam Musalman Marr Jayenge. Tamam Duniya Kaafiron Se Bhar Jayengi.
(صحیح مسلم، کتاب الفتن واشراط الساعۃ،باب ذکر الدجال وصفتہ وما معہ،رقم ۲۱۳۷،ص۱۵۶۸)
Is Tarha Jab Qayamat Ki Tamam Nishaaniya Zaahir Ho Jayegi To Achanak Allah Ke Hukm Se Rad E Israfeel Alahi Salam Sooor Phoonkenge. Jisse Zameen Asmaan Toot Phoot Kar Tokde Tokde Ho Jayenge.
(صحیح مسلم، کتاب الفتن واشراط الساعۃ،باب فی خروج الدجال ومکثہ فی الارض…الخ،رقم ۱۱۶،ص۱۵۷۲)
-Chote Barde Sab Pahad Chur Chur Ho Kar Bikhar Jayenge. Tamam Daariyon Mein Tufaan Uth Khada Hoga Aur Zameen Phat Jaane Se Ek Dariya Dusre Dariya Se Mil Jayega. Tamam Makhlooqat Marr Jayegi Aur Pori Duniya Tehes Nehes Ho Kar Barbaad Ho Jayegi, Phir Ek Mudad Ke Baad Jab Allah Ko Manzoor Hoga Ke Tamam Aalam Phir Paida Ho Jaye, To Dusri Baar Phir Hazrat E Israafeel Alahi Salam Sooor Phoonkenge. Phir Sara Aalam Dobara Paida Ho Jayega Aur Tamam Murde Zinda Ho Kar Maidan E Mahashr Mein Jama Honge, Jahan Sabke Aamaal Mizaan E Amal Mein Toole Jayenge, Hissab Kitaab Hoga.
(شعب الایمان،باب فی حشرالناس بعد مایبعثون من قبورھم ،رقم۳۵۳،ج۱،ص۳۱۲)
Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Shifaat Farmayenge.
(صحیح البخاری، کتاب التوحید، باب کلام الرب عزوجل یوم القیامۃ مع الانبیاء وغیرہم، رقم ۷۵۰۹،ج۴،ص۵۷۶)
Aur Apni Ummat Ko Hooze Kausar Ka Paani Pilaayenge.
(شعب الایمان،باب فی حشر الناس بعد مایبعثون من قبورہم،رقم ۳۶۰،ج۱،ص۳۲۱)
Neiko Ka Naam E Amaal Seedhe ( Right Hand ) Hath Mein Aur Bur’on Ka Naam E Amaal Ulte ( Left Hand ) Hath Mein Diya Jayega.
(النبراس شرح العقائد النسفیۃ، وقراء الکتاب حق، ص۲۱۶)
Phir Yeh Log Pool E Siraat Per Chalaye’jayenge, Jin Logo Ke Amaal Ache Honge, Woh Salamati Ke Saat Pool Se Paar Ho Kar Jannat Mein Puhuch Jayenge, Aur Jo Bad-aamaal Aur Gunah’gaar Honge Woh Is Pool Se Dozakh Mein Girr Jayenge.
(صحیح مسلم، کتاب الایمان،باب معرفۃ طریق الرؤیۃ ، رقم ۱۸۳،ص۱۱۲)

1) Jahanum Paida Ho Chuki Hain.
(شرح العقائدالنسفیۃ،والحوض حق ، والجنۃ حق والنار حق،ص۱۰۶)

• Aur Isme Tarha Tarha Ke Azaab’on Ke Saman Mujood Hain, Dozakhi Logo Mein Se Jin Logo Ke Dil’on Mein Zarra Bhar Bhi Emaan Hoga, Woh Apne Gunaho Ki Saza Bhughat Kar Paighambaro Aur Dusre Buzurgo Ki Shifaat Se Jahanum Se Nikal Kar Jannat Mein Daakhil Honge.
(صحیح البخاری، کتاب التوحید، باب کلام الرب عزوجل یوم القیامۃ مع الانبیاء وغیرھم، رقم ۷۵۰۹،۷۵۱۰،ج۴،ص۵۷۶)
• Musalman Kitna Hi Barda Gunahagaar Kyu Naa Ho, Magar Woh Humesha Dozakh Mein Nahi Rakha Jayega, Balke Kuch Dino Tak Apne Gunaho Ki Saza Paa Kar Jannat Mein Daakhil Kar Diya Jayega, Haan ! Kuffar Wa Mushrikin Humesha Humesha Jahanum Hi Mein Rahenge Aur Tarha Tarha Ke Azaabo Mein Giriftaar Rahenge, Aur Inko Maut Bhi Nahi Aayegi.
(شرح العقائد النسفیۃ ، مبحث اہل الکبائرمن المؤمنین لایخلدون فی النار، ص۱۱۷۔۱۱۸)

2) Jannat Bhi Banai Jaa Chuki Hain.
(شرح العقائدالنسفیۃ،والحوض حق ، والجنۃ حق والنار حق،ص۱۰۶)
Aur Isme Tarha Tarha Ki Naimaato Ka Sara Saman Allah Ne Paida Farma Rakha Hain, Jannatiyo Ko Naa Koi Khauf Hoga, Naa Kisi Tarha Ka Koi Ranj O Gham Hoga.
(جامع الترمذی، کتاب صفۃ الجنۃ، باب ما جاء فی سوق الجنۃ، رقم۲۵۵۸،ج۴،ص۲۴۷ )
Inki Har Khuwahhish Aur Tamanna Ko Allah Karim Pori Farmayega Aur Woh Jannat Ke Baagho Mein Kisam Kisam Ke Meawo Aur Tarha Tarha Ki Naimato Se Lootf Uthate Rahenge.
(بہارشریعت،ج۱،ح۱،ص۴۴)
Aur Humesha Humesha Jannat Mein Rahenge, Naa Kabhi Wo Jannat Se Nikale Jayenge, Naa Marenge.
(جامع الترمذی، کتاب صفۃ الجنۃ باب ماجاء فی خلود اھل الجنۃ، رقم۲۵۲۶،ج۴،ص۲۵۱)
3) Shirk O Kufr Ke Gunah Ko Allah Kabhi Maaf Nahi Farmayega, Inke Elawa Dusre Chote Barde Gunaho Ko Jiske Liye Chahega Apne Fazal O Karam Se Maaf Farma Dega.
(پ۵،النساء:48)
Aur Jisko Chahega Azaab Dega.
(پ۴،اٰل عمران:129)

Azaab Dena Uska Adal ( Insaaf ) Hain Aur Maaf Kar Dena Uska Fazal Hain. Allah Har Musalman Per Apna Fazal Farmayen. Aaameen !

– By Mufti Haider Ali Qadri Sahab

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *