Allah Ne Kuch Makhlooq Ko Aag Se Paida Farma Kar Unko Yeh Takat Di Hai Ke Woh Jo Chahen Shakal Ikhtiyaar Kar Len. Is Makhlooq Ka Naam Jinn Hain. Yeh Bhi Humko Dekhai Nahi Dete. Yeh Insaano Ki Tarha Khate Pite, Jeete Marte Hain, Inke Bache Bhi Paida Hote Hain.
(پ۱۴،الحجر:۲۷/ التفسیر الکبیر، المسألۃ الثالثۃفی ان ابلیس ھل کان من الملائکۃ ام لا ۔۔۔۔ج۱،ص۴۲۹/ النبراس،مبحث الملائکۃ علیہم السلام،ص۲۸۷/ الیواقیت والجواہر، المبحث الثالث والعشرون فی اثبات وجودالجن۔۔۔الخ، الجزء الاول،ص۱۸۳)
Aur In Mein Musalmaan Bhi Hain Aur Kaafir Bhi, Neik Bhi Hain Aur Fasik Bhi.
(پ۲۹،الجن:۱۴۔۱۵/ تفسیر روح البیان،ج۱۰،ص۱۹۴،الیواقیت والجواہر،المبحث الثالث والعشرون فی اثبات وجود الجن ووجوب الایمان بھم،الجزء الاول،ص۱۸۲)
Jinn Ke Wajood Ka Inkaar Karne Wala Kaafir Hain, Kyu Ke Jinn Ek Makhlooq Hain Yeh Quran E Majid Se Sbit Hain Lihaza Jinn Ke Wajood Ka Inkaar Haqeeqat Mein Quran Majid Ka Inkaar Hain.
(الفتاوٰی الرضویۃ الجدیدۃ،ج۲۹،ص۳۸۴)