Lafzey Aqeedah Bana Hai A’qdun (عقدٌ)Se Or A’qdun Ke Lugwi Maana Girah Ya Ganth Ke Hein. Jis Tarah Kisi Cheez Mein Girah Lagane Se Wo Cheez Jam Jati Hain Isi Tarah Dil Ka Kisi Nazriye Par Jam Jana Ya Dil Ka Is Nazarye Per Mutma’in Ho Jana A’qeedah Kehlata Hain. Jesa Ke Moa’jam Lugatul Fuqaha’a Mein Hey A’qeedah Ki Tareef Mazkura Hain. ما عقدعلیہ القلب واطمأنّ الیہ Y’ani Woh Nazariyah Jis Per Dil Mutma’in Ho Or Is Per Jam Jay.
[ Mo’ajamul Lugatul Fuqaha’a Aljild’al Awal Al Maktabatah Al Shaamlah ]
Isi Tarah Yeh Baat Samjh Lein Ki Aqeedey Ka Taluq Tasdeeq Se He A’mal Se Nahi. Jaisa Ki Al Ta’rifaat Mein Allama Al Syed Shreef Al Jurjani A’qeedey Ki Tareef Kartey Hoye Fermatey Hein:- ما یقصدفیہ نفس الاعتقاد دون العمل۔ Yani Aqeedah Woh Nazarye Jis Mein Nafsey Aeteqad Maqsood Ho Na Key A’mal.
Jesa Kay: Allah Ki Zaat Wa Sifaat Us Key Rasoolon Or Kitabon Or Mala’ika Wa Yum-e-aakhrat Per Hamara A’qeedah Yani Yakeen Hain.
Misaal: Tasbeeh Ki Girra Kholte Hi Tamam Daane Bikhar Jaate Hai, Aise Hi Kisi Musalman Ke Aqeed’e Mein Bigaadh Paida Ho Jaye To Ya To Woh Imaan Ke Daira E Islam Se Khaarijh Ho Jata Hai Ya Gumrah Ho Jaata Hai.
Aqeeda Ka Istelaahi Maina: Istelaahi Sharah Mein Aqeeda Woh Nazariya Hai , Jiska Taluq Iman Aur Kuffur Se Hai, Aqeeda Ek Aisa Nazariya Hai Jiska Taluq Qalb Se Hai Na Ke Amal Se. Iska Inkaar Karna Gumrahi Aur Kufr Hai.
Dalaail: Jin Aqaid Ke Inkaar Se Insaan Kaafir Ya Gumrah Ho Jaata Hai Woh 4 Dalaail Se Sabit Hote Hai.
A) Quran E Pak
B) Hadees E Nabwi
C) Sawaad E Azaam
D) Aqal E Salim
a) Quran E Pak: Quran E Pak Se Jo Aqaid Saraa’haa’tan (waaze) Sabit Hai , Jaise Allah Ka Ek Hona. [ Surah E Akhlaas ].
Issi Tarha Namaz , Roza, Hajj, Zakat Yeh Aqaid Quran E Pak Se Sarahatan Sabit Hai. Inka Inkaar Karne Wala Kaafir Hai.
B) Hadees E Nabwi: Jo Aqaid Quran Se Saraa’haa’tan Sabit Na Ho Aur Hadees E Mubarak Mein Saraa’haa’tan Unka Taskeera Milta Ho, Jise Yeh Ke Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Noor Hai. Quran E Pak Mein Sarahatan Agar Che Iska Taskeera Nahi Milta. Lekin Hadees E Rasool Se Yeh Baat Sarahatan Sabit Hai. Jaise Hazrat Jabbir (radi Allahu Ta’ala Anhu) Farmate Hai Ke Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Hazrat E Jibbrail (alaihi Salaam) Se Farmaya Ke Allah Ne Sab Se Pehle Apne Noor Se Apne Nabi Ke Noor Ko Paida Farmaya.
[ Musannaf Ibne Abdur Razak ]
C) Savaad E Azaam: Woh Aqaid Jo Quran O Hadees Se Sarahatan Sabit Na Ho To Voh Savaad E Azaam Se Sabit Hote Hai. Savaad E Azaam Ki Tareef : Musalmano Ki Voh Badi Jammat Jiska Jhoot Per Muta’fik (Agree) Hona Aqalan Na Mumkin Ho. Jaise Hazrat E Abu Bakr Ki Khilaf Berhaq Hai Yeh Aqeeda Savaad E Azaam Se Sabit Hai, Is Per Sahaba E Karam , Tabain, Taba’tabain Ka Ijma Hai.
D) Aqal E Salim: Voh Aqaid Jo Quran O Hadees Aur Savaad E Azaam Se Sarhatan Sabit Na Ho , To Unko Aqal E Salim Se Sabit Kia Jata Hai.jaise, Humara Aqeeda Hai Ke Allah Jhoot Bolne Se Paak Hai. Quran E Pak Mein Sarhatan Iska Zikr Nahi Milta , Haan Quran E Pak Mein Yeh To Hai Ke Allah Har Aieb Se Paak Hai To Aqal Is Baat Ka Takaza Krti Hai Ke Jab Allah Har Aieb Se Paak Hai To Jhoot Bhi Aib Hai To Allah Ki Zaat Isse Bhi Paak Hai. To Yeh Aqeeda Aqal E Salim Se Sabit Hua.
In Chaaro Dalaail Se Jo Aqaid Sabit Ho Unka Inkaar Karna Kufr Ya Gumrahi Hai.