ALLAH Ki Zaat O Sifaat

1) Tamam Aalam Zameen Aur Asman Wagera Sara Jahan Pehle Bilkul Naapaid ( Pehle Nahi Tha, Baad Men Takleeq Kia Gaya ) Tha, Koi Cheez Bhi Nahi Thi, Phir Allah Ne Apne Qudrat Se Sabko Paida Kia To Yeh Sab Kuch Mujood Hua.
(شرح العقائد النسفیۃ ، مبحث العالم بجمیع اجزائہ محدث ، ص۲۴ / پ۷،الانعام : ۱۰۱ )


2) Jisne Tamam Aalam Aur Dusre Jahan Ko Paida Kiya, Ussi Paak Zaat Ka Naam Allah Hai.
(پ۱،البقرۃ:۲۹/ پ۷،الانعام:۱/پ۲۴،المؤمنون:۶۲/ المسامرۃ بشرح المسایرۃ، الاصل العاشر العلم بانہ تعالیٰ واحدلاشریک لہ،ص۴۴)


3) Allah Aza Wa Jalla Ek Hai , Koi Uska Shareek Nahi.
(پ۲۶،محمد:۱۹/پ۱۵،الکھف:۲۶)
Humesha Se Hain , Aur Humesha Rahega.
(المسامرۃ بشرح المسایرۃ ، الاصل الثانی : اللہ قدیم ، ص۲۲۔۲۵)

• Woh Be-parwa Hai Kisi Ka Muhtaj Nahi. Sara Aalam Uska Muhtaj Hai.
(شرح الملا علی القاری علی الفقہ الاکبر ، لایثبہ اللہ شئی من خلقہ، ص۱۵/ پ۲۶، محمد:۳۸)

• Koi Cheez Iske Misal Nahi, Woh Sab Se Yakta Aur Sab Ke Nirala Hai. (پ۲۵،الشورٰی :۱۱/پ۳۰،الاخلاص:۱۔۴)

• Aur Wahi Sab Ka Khaliq Wa Malik Hain. (پ۷،المائدۃ:۱۲۰/پ۷،الانعام:۱۰۲)


4) Woh Zinda Hai.
(پ۳،البقرۃ:۲۵۵)

• Woh Qudrat Wala Hai, Who Har Cheez Ko Janta Hai.
(پ۲۲،فاطر:۴۴)

• Sab Kuch Dekhta Hai , Sab Kuch Sunta Hai.
(پ۲۵،الشورٰی:۱۱)

• Sab Ki Zindagi Aur Maut Ka Malik Hai. Jisko Chahe Zinda Rakhe Jab Tak Chahe Zinda Rakhe. Aur Jab Chahe Maut De. Wohi Sab Ko Jillata Hai Aur Marta Hai.
(پ۱۱،التوبۃ:۱۱۶)

• Wohi Sab Ko Rozi Deta Hai, Wohi Jisko Chahe Izzat Aur Zillat Deta Hai.
(پ۳،اٰل عمران:۲۶،۳۷)

• Aur Woh Kuch Chahe Karta Hai.
(پ۱۷،الحج:۱۸)

• Wohi Ibaddat Ke Laiq Hai.
(پ۳،البقرۃ:۲۵۵)

• Koi Iska Missal Aur Muqabil Nahi.
(پ۲۵،الشورٰی:۱۱)

• Naa Isne Kisi Ko Janna, Na Woh Kisi Se Janna Gaya.
(پ۳۰،الاخلاص:۳)

• Naa Woh Biwi Bacho Wala Hai.
(پ۲۹،الجن:۳)


5) Woh Kalam Fermata Hain.
(پ۳،البقرۃ:۲۵۳)
• Lekin Iska Kalam Hum Logon Ke Kalam Ki Tarha Ka Nahi Hai,woh Zaban, Ankh, Kaan, Wagera, Aaza Se Aur Har Aib Aur Nuqsaan Se Paak Hai. Har Kamal Uski Zaat Men Mujood Hai.
(المسامرہ بشرح المسایرۃ ،ختم المصنف ، کتاب بیان عقیدۃ اہل السنۃ ، ص۳۹۲۔۳۹۳)


6) Uski Sab Sifaat’e Humesha Se Hain, Aur Humesha Rahengi, Koi Sifaat Iski Kabhi Na Khatam Ho Sakti Hai, Naa Ghatt – Badh Sakti Hain.
(المعتقد المنتقد مع المستند المعتمد ، مسئلۃ صفاتہ تعالیٰ غیر محدثۃ ولا مخلوقۃ ، ص۴۹/شرح العقائد النسفیۃ ، مبحٹ اثبات الصفات ، ص۴۵۔۴۷)


7) Woh Apni Paida Ki Hui Har Cheez Per Badha Meherban Hai, Wohi Sab Ko Paalta Hai.
(پ۱،الفاتحۃ:۱۔۲)

• Woh Badai Wala Aur Badi Izzat Wala Hain.
(پ۲۸،الحشر:۲۳)

• Sab Kuch Issi Ke Qabza Aur Ikhtiyar Men Hain. Jisko Chahe Pest Kr De, Jisko Chahe Buland Kr De.
(پ۳،اٰل عمران:۲۶)

• Jiski Chahe Rozi Kam Kr De, Jiski Chahe Zaida Kr De.
(پ۲۱،العنکبوت:۶۲)

• Woh Insaaf Wala Hai.
(شعب الایمان ، باب فی الایمان باللہ ، فصل فی معرفۃ اسماء اللہ وصفاتہ ،رقم ۱۰۲،ج۱،ص۱۱۴)

• Kisi Per Zulm Nahi Karta.
(پ۵،النسا:۴۰ / پ۱۵، الکہف:۴۹)

• Woh Barde Tahammul Aur Bardasht Wala Hai.
(شعب الایمان ، باب فی الایمان باللہ ، فصل فی معرفۃ اسماء اللہ وصفاتہ ،رقم ۱۰۲،ج۱،ص۱۱۴)

• Woh Gunaho Ka Bakhsh Ne Wala Hai.
(پ۲۴،الزمر:۵۳)

• Aur Bando Ki Dua’o Ko Qabool Farmane Wala Hain.
(پ۲۰،النمل:۶۲/پ۲،البقرۃ:۱۸۶)

• Woh Sab Per Haakeem Hai , Is Per Koi Hokum Chalane Wala Nahi.
(پ۷،الانعام:۱۸/ پ۱۲،ھود:۴۵/المستند المعتمدعلی المعتقد المنتقد، ص۹۹،حاشیہ ۱۳۱)

• Naa Isko Iske Irade Se Koi Rukne Wala Hain.
(پ۲۶،ق:۲۹)

• Wo Sab Ka Kaam Banana Wala Hain. Duniya Men Jo Kuch Hota Hain, Ussi Ke Hukm Se Hota Hain, Begair Uske Hukm Ke Koi Zarra Hill Nahi Sakta. Iske Kisi Hukm Aur Iske Kisi Kaam Mein Kisi Ko Rukh Tok Ki Majjal Nahi.
(بہارشریعت،ج۱،ص۸)

• Wo Tamam Aalam Aur Saare Jahan Ki Hifazat Aur Iska Intezaam Farmata Hain.
(پ۱۳،یوسف:۶۴/ پ۲۲،سبا:۲۱)

• Naa Woh Soota Hain, Naa Onghta Hain.
(پ۳،البقرۃ:۲۲۵)

• Naa Kabhi Ghafil Hota Hain.
(پ۲،البقرۃ:۱۴۴)


8) Allah Per Koi Cheez Waajib Aur Laazim Nahi Hain. Aur Woh Jo Kuch Karta Hain , Woh Uska Fazal Aur Uski Meherbani Hain.
(المسامرۃ بشرح المسایرۃ ، الاصل الرابع فی بیان انہ لایجب علی اللہ تعالٰی فعل شی ، ص۱۵۴ المعتقد المنتقد مع المستند المعتمد ، یستحیل وجوب شی علیہ تعالٰی ، ص۷۱)


9) Woh Mukhluq Ki Tamam Sifaat’to Se Paak Hain.
(شرح الفقہ الاکبر،ص۳۱)

• Woh Barda Hi Raheem O Kareem Hain . Wo Apne Bando Ko Kisi Aise Kaam Ka Hukm Nahi Deta Jo Bando Se Naa Ho Sakke.
(پ۳،البقرۃ:۲۸۶)

• Woh Apne Bandon Ki Badh ( Bad ) Aamaaliyo Aur Gunaho Se Naraz Hota Hain. Aur Bandon Ki Nekiyo Aur Ibbadato Se Khush Hota Hain. Issiliye Usne Gunahagaaro Ke Liye Dozakh Ka Azaab Aur Neiko’kaaro Ke Liye Jannat Ka Sawab Banaya Hain.


10) Allah Jahat ( Direction ) Aur Makkan Wa Zamaan Aur Harkat Wa Sukoon Aur Shakal Wa Soorat Wagera Mukhluqaat Ki Tamam Sifaat Wa Kaifiyat Se Paak Hain.
(شرح العقائد النسفیۃ ، الدلیل علی کونہ تعالٰی لیس جسما ،ص۳۸۔۴۱، المسامرۃ بشرح المسایرۃ، الاصل السابع انہ تعالٰی لیس مختصا بجھۃ ، ص۳۰۔۳۱)


11) Duniya Ki Zindagi Men Sar Ki Ankho Se Allah Ka Dedaar Sirf Humare Nabi Hazrat Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi Wasalam Ko Hasil Hua. Haan Dil Ki Nigah Se Ya Khuwab Men Allah Ka Dedaar , Dusre Ambiya Alaihi Musalam Balke Bahot Se Auliya Ko Bhi Naseeb Hua. Aur Aakhirat Mein Har Sunni Musalman Ko Allah Apna Dedaar Karayega, Magar Yaad Rakho Ke Allah Ka Dedaar Bila Kaif Hain. Yaani Dekhenge Magar Yeh Nahi Keh Sakte Ke Kaise ? Aur Kis Torr Per Dekhenge ? Insha Allah Jab Dekhenge Us Waqt Bata Denge . Isme Behes Karna Jayez Nahi . Yeh Imaan Rakho Ke Qayamat Mein Zaroor Uska Dedaar Hoga. Jo Aakhirat Ki Naimaato Mein Se Sab Se Bardi Naimat Hain.
(شرح الملا علی القاری علی الفقہ الاکبر ، جواز رؤیۃ الباری جل شانہ فی الدنیا ، ص۱۲۳۔۱۲۴/المعتقد المنتقدمع المستند المعتمد،منہ (۱۶)انہ تعالٰی مرئی بالا بصار فی الآخرۃ، ص۵۶،۵۸،شرح العقائد النسفیۃ،مبحث رؤیۃ اللہ تعالی والدلیل علیھا، ص۷۴۔۷۵)


12) Allah Ke Har Kaam Men Beshumaar Hikmate Hain. Chahe Humko Maloom Ho Ya Naa Maloom Hon.
(المسامرۃ بشرح المسایرۃ ، للہ تعالٰی فی کل فصل حکمۃ ، س۲۱۵)

• Allah K Kisi Kaam Ko Bura Samjhna, Ya Us Per Aiteraaz Karna , Yaa Naraz Hona , Yeh Kufr Ki Baat Hain.

• Khabardaar ! Kabhi Hargiz Allah Ke Kisi Kaam Per Naa Atieraz Karon, Naa Naraz Raho, Balke Yehi Imaan Rakho Ke Allah Jo Kuch Karta Hain Wohi Acha Hain, Chahe Humari Samjh Men Aaye Ya Naa Aayen. Kyu Ke Allah Alim Wa Hakeem Hain, Yaani Bahot Zaida Janne Wala Aur Bahot Zaida Hikmato Wala Hain, Aur Woh Apne Bandon Per Bahot Zaida Meherban Hain.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *