Aalam e Barzakh

Defination: Marne Ke Baad Aur Qayamat Se Pehle Duniya Aur Aakhirat Ke Darmiyan Ek Aur Aalam Hain. Jisko Aalam E Barzakh Kehte Hain .
(پ۱۸،المؤمنون:100/ شرح الصدور،باب مقر الأرواح،ص۲۳۶)

Tamam Insaano Aur Jinn’on Ko Marne Ke Baad Issi Aalam Mein Rehna Hota Hain Is Aalam E Barzakh Mein Apne Apne Aamaal Ke Aitebaar Se Kisi Ko Aram Milta Hai Aur Kisi Ko Takleef .
(بہارشریعت،ج۱،ح۱،ص۲۴)


1) Marne Ke Baad Bhi Rooh Ka Taluq Badan Ke Saat Baki Rehta Hain, Agar Che Rooh Badan Se Juda Ho Gai Hain Magar Bande Per Jo Aalaaam ( Taqleef ) Ya Sadma Guzre Ga Rooh Zaroor Isko Mehsoos Karegi, Jis Tarha Duniyawi Zindagi Mein Badan Per Jo Rahat Aur Taqleef Pardhti Hain Uski Lazzat Aur Taqleef Rooh Ko Puhuchti Hain Issi Tarha Aalam E Barzakh Mein Bhi Jo Inaam Ya Azaab Badan Per Hota Hain Uski Lazat Aur Taqleef Rooh Ko Puhuchti Hain.
(شرح العقائد النسفیۃ، مبحث عذاب القبر،ص۱۰۱)


2) Marne Ke Baad Musalmano Ki Rooh’en Unke Darjaht Ke Aitebaar Se Mukhtalif Makamaat Per Rehti Hain. Baaz Ki Qabr Per Baaz Ki Zamzam Sharif Ke Quwen ( Well ) Mein Baaz Ki Asmaan O Zameen Ke Darmiyan Baaz Ki Asmaano Mein Baaz Ki Arsh Ke Niche Qindilon Mein, Baaz Ki Aala Elliyeen Mein, Magar Rooh’en Kahi Bhi Hon Apne Jism’on Se Ba’dastur Unko Taluq Rehta Hain Jo Koi Unki Qabr Per Aayen Usko Woh Dekhte , Pehchante Aur Uski Baton Ko Sunte Hain.
(شرح الصدور، باب مقر الأرواح، ص۲۳۵۔۲۳۸/الفتاوی الرضویۃ الجدیدۃ،ج۹،ص۶۵۸)

Issi Tarha Kaafiron Ki Rooh’en Unke Qabr Per Rehti Hain, Baaz Ki Yaman Ke Ek Naale Barhoot Mein, Baaz Ki Saat’on Zameen Ke Niche , Baaz Ki Sijeen Mein , Lekin Rooh’en Kahin Bhi Hon Unke Jism’on Se Unka Taluq Barkarar Rehta Hain. Chu Naa Che Jo Unke Qabr Per Aayen Woh Usko Dekhte Pehchante Aur Uski Baton Ko Sunte Hain.
(شرح الصدور، باب مقر الارواح، ص۲۳۶۔۲۳۷/الفتاوی الرضویۃ الجدیدۃ،ج۹،ص۶۵۸)


3) Yeh Khiyal Ke Marne Ke Baad Rooh Kisi Dusre Badan Mein Chali Jaati Hain, Chahen Woh Kisi Admi Ka Badan Ho Ya Kisi Janwar Ka Jisko Philosopher Tanasukh Hindu Abagon Kehte Hain. Yeh Khiyal Hi Bilkul Baatil Aur Iska Manna Kufr Hain.
(الفتاوی الھندیۃ، کتاب السیر، الباب التاسع فی احکام المرتدین، ج۲،ص۲۶۴ / النبراس،باب والبعث حق،ص۲۱۳)


4) Jab Admi Marta Hain To Agar Dafnaya Jaye To Dafnane Ke Baad Aur Agar Naa Dafnaya Jaye Toh Who Jahan Bhi Ho Aur Jis Haal Mein Bhi Hon Uske Pass Do Farishte Aate Hain Jin Mein Se Ek Ka Naam Munkar Aur Dusre Ka Naam Nakir Hain, Yeh Dono Farishte Murde Se Sawal Karte Hain Ke Tera Rab Kaun Hain ? Tera Deen Kya Hain ? Aur Hazrat Muhammad Mustafa Sallalahu Alahi Wasalam Ke Bare Mein Pochte Hain , Yeh Kaun Hain ? Agar Murda Emaandaar Hon To Theek Theek Jawab Deta Hain Ke Mera Rab Allah Hain, Mera Deen Islam, Aur Hazrat Muhammad Mustafa Sallalahu Alahi Wasalam Allah Ke Rasool Hain.
(النبراس،مبحث عذاب القبر وثوابہ،ص۲۰۶،۲۱۰/سنن الترمذی، کتاب الجنائز،باب ماجاء فی عذاب القبر،رقم ۱۰۷۳،ج۲،ص۳۳۷)

Phir Uske Liye Jannat Ki Taraf Ek Khidki Khol Dete Hain Jisse Thandi Thandi Jannat Ki Hawa’e Aur Khusbooye Qabr Mein Aati Rehti Hain, Murda Aram Aur Chain Ke Maze Mein Pardh Kr Apni Qabr Mein Sukh Ki Neend Soota Hain Aur Agar Murda Emaandaar Naa Hon To Sab Sawalon Ke Jawab Mein Yehi Kehta Hain Ke Mujhe Kuch Nahi Maloom Phir Uski Qabr Mein Dozakh Ki Taraf Ek Khidki Khol Di Jaati Hain Aur Jahanam Ki Garam Garam Hawaye Aur Badhboo Qabr Mein Aati Rehti Hain, Aur Murda Tarha Tarha Ke Sakht Azaabon Mein Giriftaar Ho Kar Tarap Ta Aur Bekarar Rehta Hain, Farishte Isko Gurzo Se Marte Hain Aur Uske Bure Amal Saanp Bicho Bann Kr Use Azaab Puhucha Te Rehte Hain.
(مشکاۃ المصابیح، کتاب الجنائز، باب مایقال عند من حضرہ الموت، الفصل الثالث، رقم ۱۶۳۰،ج۱،ص۴۵۸)


5) Murda Bhi Kalam Karta Hain Magar Uske Kalam Ko Insaan Aur Jinn Ke Siwa Tamam Makhlooqat Janwar’on Wagera Sunte Hain. Agar Koi Admi Sunn Len To Woh Behosh Ho Jayega.
(صحیح البخاری،کتاب الجنائز،باب کلام المیت علی الجنازۃ،رقم ۱۳۸۰،ج۱،ص۴۶۵)


6) Emaandaar Aur Neiko Ki Qabr’en Kisi Ki Sattar Sattar ( 70 ) Hath Chordi ( Width ) Ho Jaati Hain.
(سنن الترمذی،کتاب الجنائز،باب ماجاء فی عذاب القبر،رقم۱۰۷۳،ج۲،ص۳۳۷)

Aur Kisi Kisi Ki Qabr’en Itni Chordi Ho Jaati Hain Ke Jahan Tak Uski Nighan Jaati Hain.
(مشکاۃ المصابیح ، کتاب الجنائز ، باب مایقال عند من حضرہ الموت،الفصل الثالث، رقم۱۶۳۰،ج۱،ص۴۵۸)

Aur Kaafiron Aur Baaz Gunahagaaro Ko Qabr Is Qadar Zor Se Dabati Hain, Aur Is Qadr Tang Ho Jaati Hain Ke Eedar Ki Phasliya Udhar Aur Udhar Ki Phasliya Eedar Ho Jaati Hain.
(جامع الترمذی،کتاب الجنائز، باب ماجاء فی عذاب القبر،رقم ۱۰۷۳،ج۲،ص۳۳۷)


7) Qabr Mein Jo Kuch Azaab Wa Sawab Murde Ko Diya Jata Hain Aur Jo Kuch Is Per Guzarti Hain Woh Sab Cheeze Murde Ko Maloom Hoti Hain, Zinda Logo Ko Iska Koi Ilm Nahi Hota Jaise Sota Hua Admi Khwab Mein Aram Wa Takleef Aur Kisam Kisam Ke Manazir Sab Kuch Dekhta Hain, Lazzat Bhi Paata Hain Aur Taqleef Bhi Uthata Hain Magar Uske Pass Hi Mein Jaghta Hua Admi In Sab Baton Se Bekhabar Betha Rehta Hain.

One Response
  1. abdur rahim August 7, 2014 Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *